zindgi ka naya mod
Zindagi to chalegi
Usse chalna hi hai
Waqt na kabhi ruka hai
Usse to rukna nahi hai
Saanse jab ruk jaaye
Zindagi bhi na muskuraye
Par tujko barna hi hai
Aisa waqt bhi aaye jab ghanghor andhera chaye
Tu na ghabra,tu na gir ja
Kyunki tujhe to uthna hi hai
Barte barte pav chil jaaye
dost bhi raaste main ruk jaaye
par tu soch le,par tu maan le
thodi dur ujaala bhi hai.


0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home